Kabhi kabhi main bhi sochta hoon.....

Sochta hoon tumhare jaane se kya badal gaya hai
sab kuch toh wohi waisa sa hai

ye mausam ab bhi wohi mausam hai
ye hawayein ab bhi wohi hawayein hain
ye barish ab bhi wohi barish hai
ye fizayein ab bhi wohi fizayein hain
ye duniya ab bhi wohi duniya hai
ye khushiyan ab bhi wohi khushiyan hain

Par jab tum thi toh..........

tum thi toh is mausam me zara aashiqi si thi
tum thi toh in hawaon me zara tazgi si thi
tum thi toh ye barish lagti thami thami si thi
tum thi toh in fizaon me mohabbat ki zara nami si thi
tum thi toh ye duniya kitni pyari si lagti thi
tum thi toh ye khushiyan kitni hamari si lagti thi

Sochta hoon tumhare jane se kya chala gaya hai
sab kuch toh yahin ab bhi yahan hai

ye mera dil yahin ka yahin hai
har raah har manzil ab bhi wahin hain
har phool har darakht wahin k wahin hain
har lamha har waqt wahin k wahin hain
ye aashiyana wahin ka wahin hai
ye diwana wahin ka wahin hai

Par jab tum thi toh.............

tum thi toh is dil me dhadkane bhi hoti thi
tum thi toh manzilo ki khwahishein bhi hoti thi
tum thi toh ye phool khila mehaka bhi karte the
tum thi toh shaam-o-sehar is aangan se mila bhi karte the
tum thi toh ye aashiyana aisa viraana na tha
tum thi toh ye diwana is kadar diwana na tha.

Zindagi

suna tha kuch socha tha kuch,kuch aur hi lekin mila.
yu hi laut-te huye ghar aaj raste me main zindagi se mila.
mili thi kabhi bachpan me pahle,
hua karti thi sach jivan si pahle.
kuch shokh si,chalak si
batoon si, bebak si
masoom si, nadan si,
har dil ki jaise jaan si,
bholi si wo natkhat si kuch,
sachchi si wo nishkapat si kuch,
nishpaap si, chanchal si wo,
zinda si ab lagti thi nahi.

haan hua karti thi jaise wo pahle,
ab wo waisi thi nahi!!

badali si kuch lagti thi ab,
apni si kahan dikhti thi ab?
kuch khoyi khoyi, gumsum si thi.
khamosh wo chup chup si thi
jahan bhar se anjaan bhi,
jahan bhar se pareshan bhi,
sabse milkar bhi akeli si,
khud hi me uljhi paheli si,
thaki si kuch, ruki si kuch,
ek bojh se jhuki si kuch.
jahan bhar se muh mode huye,
aas jivan tak ki thi chore huye.

ye jivan ki hi nirmam dhoop thi,
k ek shor si wo chulbuli, shamshan si aaj mook thi.

pucha jo maine kahan ja rahi ho?
toh boli "sakhi ek kho gayee hai.
lagta hai thak k so gayee hai.
dhoondha jahan bhar me lekin mili nahi wo.
shayad ab yahan rahi hi nahi wo.
us bin dil me bas udasi hai.
us bin ye abhagi jahan bhar me pyaar ki pyasi hai.
chalti hoon abhi k shayad wo mil hi jaye.
kehna jaroor mujhse jo tumhe wo najar aaye.
masoom si wo badi pyari hai,
bas jara se pyar ki mari hai jahan rehti hai wo,
wahan phool mohabbat k hawaon me bahte hain
aur is jahan me log use hi toh insaniyat kahte hain."

Yaad

Jin raahon par kabhi hum sath chalte the........un par ab sirf sannate palte hain..........bache hain toh bas pairon k nishaan........Teri yaadon k saaye kabhi kabhi aansoo ban kar aa jate hain........aur lagta hai k jaise saare mukaam kho gaye ho........aajkal main bas yehi sochta hoon...<........yaad aati hai toh bas teri YAAD.....
Teri zaano pe wo sar rakh k sona yaad hai..
mere shaane k sahare wo tera rona yaad hai..
teri nigaaho me yun hi mera khona yaad hai..
tujhe yaad kar baarishon me khud ko bhigona yaad hai..
dekha tha milkar sath jo humne,
ab bhi mujhe wo khwab salona yaad hai.

yaad hai mujhe mohabbat teri wo..
yun ishq me tere aashiq hona yaad hai.

baat baat pe tera rooth jana yaad hai..
har baar fir mera tujhe manana yaad hai..
sharma k tera aanchal me muh chipana yaad hai..
yun hi tujhko baaho me uthana yaad hai..
hatheli pe tera naam likhna-mitana yaad hai..

yaad hai mujhe wo judai me aansoo bahana,
k mujhe aaj bhi wo aashiqi ka zamana yaad hai.

jhijhakta sa mera wo izhaar yaad hai..
fir tera wo sharmaya iqraar yaad hai..
tere na aane pe pe kiya wo intezaar yaad hai..
na milne pe hona beqaraar yaad hai..
pyar ki meethi meethi taqraar yaad hai..

yaad hai mujhe teri mohabbat me jiya har pal,
k aaj bhi mujhe beshumar tera wo pyar yaad hai.

TUM: know yourself

Tum vaat ho, tum aag ho,
tum aas ho, vishwaas ho
dhara ho tum, aakash ho
jeevan ki amar tum pyaas ho.
Chahe abhi hatash ho,
par is bedam jahan ki saans ho.

 Kisi k ghar ki shaan ho
kisi k sir ka maan ho
kisi k tum bhagwan ho
zindadili ki pehchan ho
khushiyo k tum hi pran ho.
na haare ho abhi, na haaroge kabhi..
k tum swyam vijay k vardaan ho.

Tum zindagi ka dansh ho
halahal ka meetha ansh ho
bhulo nahi manav ho tum, ek aparajit vansh ho.

Ab bol do, mukh khol do..
chup mrit se ab na raho..
ravani hai fitrat me tumhari..
ye shithilta fir kyu saho?
bahana hi likha hai lalaat par, toh aakhon se nahi tan par baho.

kyun bahoon main tal ki or annal hoon main jaldhara nahi
Sinh hoon main kya hua jo ban sinh hunkara nahi..
vivash hoon bas karm se.. haalaat ka mara nahi..
keh do abhi zinda hoon main..keh do abhi haara nahi..

...keh do....abhi haara nahi...

Wo aisi hi hai

Hai roshan aaftab tere hi noor se...
mahtaab me hai tera hi chehra.
khushbu hai phoolon me teri saanso se...
hai kali raato me teri zulfo ka andhera.

Tujhe chhu kar mahakne ko hi toh hawayein chalti hain...
teri adaayein hi toh mausamo k rukh badalti hain.
har kahin har suu tu basi hai sanam...
ye kaaynaat toh hai bas ek aks tera.

Ye hasin manzar teri nigahon k aseer lagte hain...
ye nazare tere husn k aage fakeer lagte hain.
tere jaisa kuch aur khuda ne banaya hi nahi...
tujhse khoobsurat hai toh bas ye ishq mera.

Teri nigahon ki mai se hi toh jaam-e-jam bhare jate hain...
diid ko tere hi ushshaq sar-e-mahshar tak bhi chale aate hain.
tera husnezan cheen le jeene ki aarzoo...
wayas ko bhi kaafir kar de ye jamal-e-dilfaroz tera.

That glance...


Tha woh koi khwab ya fir haqiqat thi..
yu jo teri nazarein mujhse mukhatib thi..
Shayad koi sawal tha unme..
shayad wo kuch pooch rahi thi mujhse..
Ek unjaana sa izhaar tha unme..
shayad pyar ka iqraar tha unme..

Ek nazar me hi main jo bahakne laga tha..
k unme mohabbat ka gahara nasha tha..

Kyu zubaan teri chup thi, kyu khamosh the lab..
ya jane hai tu ye, ya jane mera rab..

Dil k chaman me ek phool khila gayee wo..
mujhko mujh hi se chura le gayee wo..

Kya wo samjha rahi thi kya main samjha nahi hoon..
mujhko bas ye khabar hai k ab main khud ka nahi hoon..