haan... ye tum thi......


Fir ek din yu hi uska khayal ho aaya
fir ek din maine khud ko samjhaya...
Lekin mera hi koi hissa mere us hisse k na hone pe yaki nahi kar raha tha..
Mere hi andar baitha 'main' use mujh se duur nahi jane deta tha..
Jo ho chuka tha uske hone pe sawal karta tha...
Jise kabhi paya nahi tha uske khone pe sawal karta tha..
Isi jadd-o-jehad me ji bhi raha tha toh zindagi se muh mod k
use pane ki chahat bhi karta tha toh use pane ki hasrat chor k

tabhi koi awaaz sunai di

kisi ne mere kaan me dheere se jaise kuch kaha..
Palat kar dekha toh tum khadi muskura rahi thi..
Wohi jadu wohi ehsas wohi mohabbat liye aakhon me..
Usi masoomiyat usi bholepan k sath wohi tum najar aa rahi thi..
Har baar ki tarah boli,
"budhdhu..main toh yahin hoon... fir muhe kahan dhoondte ho??
Main ab bhi tumhare sath hoon.. jaise hamesha thi..aur yun hi sath rahoongi..
Toh mujhe bhulne ki baat bhula do"
main jaise tumhare jadu me khoya sa..
Kisi khwab me jaga..kis hosh me soya sa..
Bin hasi k khilkhilata..sukhe aansu bhar roya sa
jaan nahi pa raha tha k ye haqiqat hai ya bharam hai..
Kya tu sirf ek chaya hai ya sach me wohi qatil sanam hai..
Mere ghamo ka koi javab hai ya fer khud ek naya gham hai..

Par teri nighaho ne sab bayan kar diya..
Tere har gham ko teri sadgi ne fanaa kar diya..
Bol padi wo aankhen aur chubhti si us khamoshi ko khafa kar diya
haule se mera sar god me rakhkar kahajuda nahi tumse..
har dum sath honge hum..
Main mohabbat hoon teri bin tere ji nahi sakti
fir laga k wo tum thi bhi aur tum thi bhi nahi..
Haan ye tum hi toh thi par fir bhi nahi..

Ye tum thi..meri mohabbat..
Ye tum thi meri chahat..
Ye tum hi thi jisne mujhe pyar ka matlab bataya tha..
jisne mujhe pyar karna sikhaya tha..
Jisne mujhe mujhse chura liya tha...
jisne mujhe mujhse milaya tha..
tum hi thi jo har pal muskurane pe majboor karti thi...
tum hi thi jo har gham ko palakon se duur karti thi...
tum jo har hasrat,har khushi, har chahat me shamil thi..
tum jo har aahat,har saans,har muskurahat me daakhil thi..
tum jo nazakat thi,shararat bhi thi..
tum jo faasla thi,mohabbat bhi thi..
tum jo haya thi..
tum jo ada thi..
jo kashish thi..
jo tapish thi..
ek junoo(n) thi..
ajab sa sukoo(n) thi..
haan ye tum hi thi...wohi tum..tum hi thi...

par isme wo tum si banavat na thi....
khoobsurati wohi thi par sajavat na thi..
nayee saadgi thi..ek paakizagi thi...
mohabbat wohi thi par wo sab pa lene ki chahat na thi..
shayad ye tum hi thi..shayad na thi..
is bar khone ka wo khauf na tha..
masoomiyat toh thi par wo zamane ka zauk na tha..
nasha wohi tha, par ab hosh bhi tha..
sab dard bhulane wala tera aagosh bhi tha..
milne ki hasrat thi,khone ka khayal na tha..
sawal sab wohi the,par khoo-e-sawal na tha..
ye tum thi bhi aur thi bhi nahi..
ye tum thi jo meri thi,meri bas ek hasrat...
haan ye tum thi tum hi thi..meri pahli mohabbat..