Band Lifafa

jis lifafe pe yaadein likha tha..wo kahin rakhkar bhool gaya hoon.
aaj phir wohi lifafa dhoond raha tha..

kuch aur band lifafe mile..
ek pe masoomiyat ki mohar lagi thi ek par khushi ka pata likha tha..
khali lifafe the kuch, ek mere b naam likha tha..
khola toh kuch nishan uspar najar aaye..
kuch purana saaman jo kho gaya tha uski ek fehrist likhi thi..
mere bachpan k kuch aansu kuch muskan likhi thi..
kuch anjaan sapno ki pehchan bani thi..
thaki si kuch koshishe b thi aur
masoom iraado ki dastaan likhi thi..

kuch gharondo ki mitti mili
pencil se likhi ek chitthi mili..
kachche rango se jo tasveere banaya karta tha..
pani k gadhdho se lad k jab ghar aaya karta tha..
kadavi dawai ki ek goli jo bistar k neeche chupa di thi..
aur kai kahaniya jo shayad bachpan me hi bhula di thi..

aur tatola to ek adhuri mohabbat bhi mili..
jab lagta tha k alfaaz ko aawaz ki zarurat nahi hoti
ehsaas ko andaaz ki zarurat nahi hoti..
jab zindagi har din khubsoorat thi..
jab meri khushi ko kisi aur ki hasi ki zaroorat thi.
jab kisi ko dekh k nigaahe muskurati thi..
jab hawa me uski saanso ki mehak behati thi
aur meri saanse tham jati thi..

jab kisi ki aakhon me apna chehra dhunda karta tha..
jab kisi ki har baat me apna zikr dhunda karta tha..
jab koi samne hota tha aur nigahe milne se dar lagta tha..
jab wo najar na aaye to dil usi ko dhunda karta tha..
jab intezaar ka har pal sadiyo se lamba hota tha..
jab uske sath har pal me ek zindagi ka safar hota tha..

achanak mere din ne mujhe bula liya..
kuch dhool se dhake lifafe dafn hi pade reh gaye..
kuch aur pulinde lifafo k ab bhi khulne baki hain..
ek aur baar maine khud ko tasalli di aur kaha..
ye purana saaman tabiyat se kholenge kabhi..
kuch aur din mujhe khud se chupe reh lene do..