Magar......kuch nahi......


Kahoon agar main k jhooth hai toh ye sach nahi,
Bas me nahi bhale par ab dil ye bebas nahi,
Na badla hai ishq, na badli aashiqi aur badla ye aashiq nahi
Ishq wohi hai, mohabbat wohi, par ab wo hasrat nahi.
Kehne ko toh bahot kuch hai magar....kuch nahi...

Ab bhi bin baat kabhi yun hi muskuraya karta hoon...
Ab bhi din raat khud ko jane kya samjhaya karta hoon...
Ab bhi machalta hai mann jab barish ki boondein chhoo jati hain...
Ab bhi kabhi kabhi main bhig k ghar jaya karta hoon.
Zindagi se ab bhi kuch khwahish toh hai...
Har pal kisi pagalpan ki aazmaish toh hai.....par kuch nahi...

Bahut kuch hai jo main kabhi na kehta toh achcha tha...
Bahut kuch ahi jo main shayad keh deta toh achcha tha...
Bahut kuch hai jo ab tak ye dil bhula nahi paya..
Bahut kuch hai jo dil ne kabhi bhulana nahi chaha.
Bahut si hain yaadein jo andhero me dikhti hain..
Bahut si hain yaadein jo khamoshi se kaano me cheekhti hain.
Ab bhi kabhi raatein un yaadon me reet toh jati hain..
Ab bhi kabhi aakhen un yaadon me bheeg toh jati hain...par kuch nahi

Kabhi lagta hai pahle zara socha hota toh thik tha..
Kabhi lagta hai jo socha wo na hota toh thik tha..
Kabhi lagta hai k namumkin ki chahat hi thi galat
Phir lage k ye namumkin na hota toh thik tha..
Ab bhi kuch jale khwabo ki tapish toh hai...
Halki halki si dil me koi khalish toh ahi....par kuch nahi....

Kehna toh tha hasi hai toh bas tujhse, magar kabhi kaha nahi..
Kehna toh tha khushi hai toh bas tujhse, magar kabhi kaha nahi..
Kehna toh tha zindagi hai toh bas tujhse magar kabhi kaha nahi...
Kehna toh tha mera ‘main’ hai toh bas tujhse magar kabhi kaha nahi..
Zindagi me tu nahi, khud ‘zindagi’ tujh hi me hai...magar kabhi kaha nahi
Saanso me basi khushbu me tu ahi, magar kabhi kaha nahi..
Khuli aakhon me tu, band palko me tu hai..magar kabhi kaha nahi...
Hasrat teri nahi, teri hasi ki hai...magar kabhi kaha nahi..
Jarurat hosh ki nahi, tere aagosh me gashi ki hai.....magar kabhi kaha nahi..
Kehne ko tujhse kitni hi baat toh hai...
Kehne ko sab kuch abhi bachi ye raat toh hai.....par kuch nahi....

Dil ko ab bhi teri aadat si toh hai...haan ab bhi
Teri chahat ki ab bhi chahat toh hai...haan ab bhi..
Tere aagosh ki hasrat toh hai...haan ab bhi..
haaan ab bhi tujhse mohabbat toh hai...........par kuch nahi.....
intezaar ab bhi hai ...par kuch nahi...
wo pyaar ab bhi hai ..par kuch nahi...
aakhir ab tu ‚wo tu’ kyo nahi...
haalaat ab bhi wohi kyo nahi...
jazbaat jab din raat wohi hain...
toh ab bhi hum sath kyo nahi???
Puchta hoon khud se yehi bin baat main aksar.....
Reh reh k aate ahin yehi khayalaat mujhe aksar.....par kuch nahi....

Mana mila kam zindagi se zara, par ye zafa bhi nahi....
Roothi bhale ho zindagi zara, par mujhse wo khafa bhi nahi...
Chhin gaya jo sab, usi ne toh diya tha..
Ab jiski yaadein hai wo lamha kabhi toh jiya tha...
Bin paaye hi toh nahi khoya sab maine
Aakhir jo ho na saka mera, wo kabhi...kuch pal toh mera hua tha..
Khush hoon is baat se k sab khoya nahi..
Pahle wo thi meri..ab uski yaadein hain..
Pahle wo aur uski baatein thi..
Ab “wo baatein” hain....
Pahle jo pal bas pal the..
Ab wo saugaatein hain...

Ab ise main apni khushnasibi kahoon ya khushfahmi...
Mohabbat kahoon ya paagalpan...
Umeed kahoon ya unmaad...
Shayad main khud nahi janta...
Kisi jhooth pe koi sajawat toh hai.....
Zindagi se phir bhi koi shikayat toh hai.....par kuch nahi........

4 comments:

  1. many people write ...n many read things written by others....bt its very rare that u identify yrself with what has been wrttn by others....after readin ths masterpiece i felt the same.....there is smthm..u may be knwin smthn of smthn or smthn of everythn or evrythn of evrythn...but ultimately kch bhi nahi.....

    ReplyDelete
  2. @ anurag
    thnx fr dropping ur comments buddy...

    ReplyDelete
  3. thoughts... moreover , beautifully penned down... great feel, connect, ... wonderful piece of creativity n thoughtfulness... loved it

    ReplyDelete