Phir ek baar......


Phir wohi khwab wohi ehsaas laya hoon…
Main phir ek baar bin baat mohabbat ban k aaya hoon

Lafzo me nasha ab bhi wohi ghole hoon….
Madhosh karne main tujhe fir wohi kahani laaya hoon.

Kehne karne ko jo chor gaya tha adhura….
Usi hisse ka ab main karz chukane aaya hoon.

Kabhi jis chahat ki hasrat ban k jiya tha main….
Ab fir usi hasrat ki chahat ban k aaya hoon.

Jis mod se tu reh gaya tha takta us din….
Usi safar pe tera hath thamne aaya hoon.

Kehta tha jise khwab main hardam….
Ab khud wohi pariyon ki kahani sunane aaya hoon.

Jis kitaab me bas mera hi naam likha tha har kahin…
Usi k panno pe ab apne haraf dhoondne aaya hoon.

Sun k bhi jo baat shayad nahi sun paaya tha kabhi…
Ab wohi aawaz liye main tujhe aawaz dene aaya hoon.

Chhoo gaye thi jo saansein kabhi meri rooh ko….
Unhi ki mehak sanjoye huye usi chuan ka ehsas main laya hoon.

Main fir mohabbat ban tere aangan aaya hoon.

No comments:

Post a Comment