Shiqayat hai.....

phir wohi adaa hai, wohi nasha hai
wohi madhoshi phir chaai hai
ye tu toh nahi, koi bharam nahi
koi khwab hai ya teri parchai hai

yu hi khayalo me kho jana wohi hai
besabab intezaar rozana wohi hai
bholapan zara naya hai
halki si zara haya hai

sab jaan kar khamoshi se muskurana
deedad bhare andaaz se meri bebasi ko aazmana
"mohabbat nahi kahin bhi" barha ye samjhana
phir ishare se " yehi mohabbat hai" ye batana

mujhe is nazakat se zara shiqayat hai

shokhiyaan sab tujhme hain
har ada me ek nayi ada hai
kabhi muskurana tera sharma kar
roothna pal bhar ko phir khud hi maan jana
kabhi kehna sab kuch siva uske jiska intezaar tha
kabhi yu hi keh jana k bas tera intezaar tha

sab kuch mil kar bhi kisi ki kavayad hai
mujhe is shararat se jara shiqayat hai

kabhi goonjti hai khamoshi teri kaano me
kabhi aawaz me kuch sunai na de
kabhi tere har haraf k chehre pe ungaliyyan pheroon main
aur kabhi inki mallika hi mujhe dikhai na de
kabhi tujh bin tujhe sun loon main
kabhi tu karib ho kar bhi dikhayi na de
is shor me basi kisi khamoshi ki chahat toh hai
mujhe is beaawaz aahat se zara shiqayat hai

No comments:

Post a Comment