Badlaav

Zindagi badal rahi hai
main wohi hoon, 'main' badal raha hai
jine ka salika wohi hai
jine ka tarika badal raha hai

manzilo k ab naye raste dhundta hoon
faasalo me hausale dhundta hoon
jo chaha tha tab, ab bhi usi ki hasrat hai
ab bas wo sab pane k bahane dhundta hoon
rahi wohi hai, safar badal raha hai
rasta apni dagar badal raha hai.

aaine me naye chehre dhundta hoon
aazad udaano k pahre dhundta hoon
kinaro pe jo paya, jo khoya wo kal ki baat thi...
jo bacha hai unchhuaa, use ab aur gahre dhundta hoon
ye waqt ye sama har pahar badal raha hai
mujhse mil k ye samandar apni lehar badal raha hai

uski talaash me khud ko dhundta hoon
bheed me baithi kisi tanhai me usko dhundta hoon
teri chahat kahin kho si gayee hai
ab to har chahat me tujhko dhundta hoon
ye hath apni salwat badal rahe hain...
khwab jo soye the, karvat badal rahe hain.

kshitij pe apna ghar dhundta hoon
dhalte suraj me dopahar dhundta hoon
udaano ki ab fir se khwahish hoti hai
ab fir se apne par dhundta hoon
panchi apna watan badal rahe hain...
bahar se ye chaman badal rahe hain.

bhujte andhero me aaftab dhundta hoon
chehro k neeche naqaab dhundta hoon
kisi ne jo kaha,"khwabo me haqiqat nahi mila karti..
ab haqiqat me apne khwab dhundta hoon.
manzilo ki talaash badal rahi hai....
chahato ki pyaas badal rahi hai..

nahi badli toh bas meri mohabbat mohabbat me...
par har pal ye mohabbat mujhe badal rahi hai...

No comments:

Post a Comment