kyu......kyu nahi.....


Thehre se hain kuch baadalo k saaye,baadal reet gaye
ghere hain kuch yaadon k saaye, janmo beet gaye
ye aasma beh jata kyu nahi....baad har baarish gaherata kyu hai??
jivan ye pighal jata kyu nahi...baad har thokar yu pathrata kyu hai??

jis qaid ki rihaayi ka khauf tha, ab chut-ti si hai..
jis sath chalti parchai ka zauk tha, roothti si hai
kyu deewarein unchi nahi is ghar ki...har mod pe koi darwaza kyu hai?
saaye raat se bujh jate kyu nahi...har saaya aakhir raat se ujla kyu hai?

jin kaanto pe zakhm likha tha, cheer gaye..
jin raaho pe haar likha tha, jeet gaye..
ye kaante kyu paanv se nikalte nahi,reh jate kyu hain...
chalte chalte kadam thak jate kyu nahi, inhi kaanto pe girne ko sambhal jate kyu hain???

jis umeed se khud ko behlata tha, bikhar gayee..
jis taakat se dhaadas pata tha, sihar gayee..
ye aas khud toot-ti kyu nahi..har baar khud band jati kyu hai??
ye himmat jhuk jati kyu nahi..har baar mujhe sath uthati kyu hai??

sab sawaal jo maine pooche the, reh gaye anjaane..
armaan jo bade armaano se rakhe the, ho gaye begane..
javab sab zindagi se milte kyu nahi, ulajh k reh jate kyu hain??
khwab sab sach hote kyu nahi..neend me hi bikhar jate kyu hain??

bas yehi ek sawaal hai tujhse zindagi, bas ye bata tu meri kab thi....

1 comment:

  1. mahaan zindagi apni bas ki na sahi
    jeena to apne bas pe nirbhar hai
    zindagi ko jeeo kyunki zindagi is chaah k bina adhoori hai :)

    ReplyDelete