Always have, always will...

Those smiles that outshine the sun,
Those miles that ur gaze could run
I have loved it all about u
Those lips that pucker as u talk
That brushing against me as we walk
I have loved it all about u
Those eyes that talk more than just words
That voice that chirps sweeter than birds
I have loved it all about u
Those hands that were crafted to fit mine
Those sparkles in ur eyes when u see me they shine
The touch that injects goosebumps always
The scent of that breath intoxicates me always
The nose that tempts pupp-attempts always
The neck that invites supple bites always
Always ready to mesmerize, that love gaze of urs
I end up spell bound, loving u always
And yes I have loved it all about u
I have loved the nail tattoos
I have loved breaking the taboos
I have loved locking horns with u
I have loved naming our unborns with u
I have loved standing against the world with u
I have loved embracing being curled with u
I have indeed loved it all about u my love
This love has given a lifetime of happiness
And it will take 1000 to think of anything but u.
I have always loved it all about u. And I always will.

The hook...


Janta nahi ye kya nasha hai jo chadha hai
Na samajh hai naadan dil ko k mohabbat hi kya hai
Kehne ko Lafz nahi milte aur dil me ek tufaan hai
Magar itna yakin hai mujhe aur rahega hamesha...
K agar teri nigahon me dekh k doob jana mohabbat hai, to haan mohabbat hai mujhe..
Agar teri muskurahat me sab gham bhool jana mohabbat hai, to haan mohabbat hai mujhe..
Agar tere aagosh me duniya se duur ho jana mohabbat hai, toh haan mohabbat hai mujhe..
Bas tere ehsaas me saans pana mohabbat hai, toh haan mohabbat hai mujhe..
Ek pal duur ho k khud se rooth jana mohabbat hai, toh haan mohabbat hai mujhe..
Tujhe dekh k aur kuch na dekh pana mohabbat hai, toh haan mohabbat hai mujhe..
Do pal k sath pe umar bhar khwab pana mohabbat hai, toh haan mohabbat hai mujhe..
Beintehaa beparwah beshumar mohabbat hai mujhe..
Haan mujhe mohabbat hai...mohabbat hai... Mohabbat hai tujhse.. 

Nazariya


Jo leharo se aage nazar dekh pati to tum jaan jate main kya sochta hoon.. 
Jo niyamo se aage hadde dekh pati to tum jaan jate main kya chahta hoon.. 
Khwabo ki duniya tumhe bhi lubhati, udaano ki chahat hoti tumhe bhi.. 
Salakho se upar nazar jo uthate to tum jaan jate main kya dekhta hoon..

Pukaregi tumko kisi din agar lau, chirago ke neeche phir chup na sakoge.. 
Andhero se ho kar roshni tak jo aate to tum jaan jate main kya khojta hoon..

Ek Khwab

ek khwab aajkal mujhe jagne se rokta sa hai..
ek khwab aajkal khuli aakhon me sochta sa hai..
ek khwab aajkal naye khwab se buna karta hai..
ek khwab aajkal har ek sach ko tokta sa hai..

ek khwab aajkal mujhse baate kiya karta hai..
ek khwab aajkal mujhe ummeede diya karta hai..
ek khwab aajkal muskurata hai bahot
ek khwab aajkal mujhse jyada jiya karta hai..

ek khwab aajkal dhaadhas bandhata hai.
ek khwab aajkal har pal darata hai...
ek khwab aajkal baar baar thaam leta hai hath..
ek khwab aajkal mujhe nayee manzile dikhata hai..

?

Kisne socha tha is safar me kuch yun hoga..
daudti hogi zindagi aur hath thame tu hoga....

koi....

sawalo ki bheed me phir kho raha hai koi
nishano ki paheli me phir gum ho rha hai koi
har ek se milne ki tammana manchale dil ko
har ek se mil kar khud se ajnabi ho raha hai koi...

 na neendo ki talaash hai na khwabo ki firaq hi
dekhne ki hasrat me khuli aankh so raha hai koi...

 ek khwab dekh kar jo khwab bun liye the dil ne
toote hain to ashqo se khwab dho raha hai koi..

Ek khayal maasom sa....

in dino masoom se ek khayal se guftgu hoti hai..
apne berang hone ka ehsas hota hai aajkal..
uske anjaan isharo pe jane kyu muskurata hoon main
uske betuke lateefo pe gudgudata hoon...
jaan kar galatiya karta hoon,
aur phir sab jaan kar bhi haar maan jata hoon main..

isi khayal k masoom khilkhilate taano me
aajkal bholepan ki tasalli pata hoon main..
kabhi kabhi ye khayal chuppi me bolta hai..
sanjeedagi se mere taghaful haraf tatolta hai..
aur main anjaan ban kar uske sath phir ji leta hoon..

aksar yu hi ghanto hum batiyate hain aajkal
aksar yu hi khud me khwab bun leta hoon main...

Band Lifafa

jis lifafe pe yaadein likha tha..wo kahin rakhkar bhool gaya hoon.
aaj phir wohi lifafa dhoond raha tha..

kuch aur band lifafe mile..
ek pe masoomiyat ki mohar lagi thi ek par khushi ka pata likha tha..
khali lifafe the kuch, ek mere b naam likha tha..
khola toh kuch nishan uspar najar aaye..
kuch purana saaman jo kho gaya tha uski ek fehrist likhi thi..
mere bachpan k kuch aansu kuch muskan likhi thi..
kuch anjaan sapno ki pehchan bani thi..
thaki si kuch koshishe b thi aur
masoom iraado ki dastaan likhi thi..

kuch gharondo ki mitti mili
pencil se likhi ek chitthi mili..
kachche rango se jo tasveere banaya karta tha..
pani k gadhdho se lad k jab ghar aaya karta tha..
kadavi dawai ki ek goli jo bistar k neeche chupa di thi..
aur kai kahaniya jo shayad bachpan me hi bhula di thi..

aur tatola to ek adhuri mohabbat bhi mili..
jab lagta tha k alfaaz ko aawaz ki zarurat nahi hoti
ehsaas ko andaaz ki zarurat nahi hoti..
jab zindagi har din khubsoorat thi..
jab meri khushi ko kisi aur ki hasi ki zaroorat thi.
jab kisi ko dekh k nigaahe muskurati thi..
jab hawa me uski saanso ki mehak behati thi
aur meri saanse tham jati thi..

jab kisi ki aakhon me apna chehra dhunda karta tha..
jab kisi ki har baat me apna zikr dhunda karta tha..
jab koi samne hota tha aur nigahe milne se dar lagta tha..
jab wo najar na aaye to dil usi ko dhunda karta tha..
jab intezaar ka har pal sadiyo se lamba hota tha..
jab uske sath har pal me ek zindagi ka safar hota tha..

achanak mere din ne mujhe bula liya..
kuch dhool se dhake lifafe dafn hi pade reh gaye..
kuch aur pulinde lifafo k ab bhi khulne baki hain..
ek aur baar maine khud ko tasalli di aur kaha..
ye purana saaman tabiyat se kholenge kabhi..
kuch aur din mujhe khud se chupe reh lene do..

Asal

Haraf mere mujh hi se ab daga karne lagi yaaro..
Kalam kuch aur kehti hai, likha kuch jata hai...

Kahoon kuch is-se pahle soch leta hoon zehan me par..
Lafz kuch aur hote hain, kaha kuch aur jata hai...


pyar......

Chann nu shiqayat ho gayee hai,
mainnu teri yaadaan varge taaryaa tau pyar hoi janda e...
siftaa teriyaa nu jalan pai gayee hai,
hunn tere laaryaa tau pyar hoi janda hai...

Sach....


sach nahi tu ye mana sach hai
par chahat pe bhi kya bas hai
sach toh peeche chor gaya hai
sath bacha jo yehi wo bas hai

sach hai jo sach sath tu hoti
toh dhadkan ki bhi aas na hoti
sach hai sach tu sath nahi hai
par ab sach ki bhi aas nahi hai
sach jo tu thi, ye khwab bhi tu hai
hai paas nahi par sath bhi tu hai
ye aks tera ye shaks bhi tu hai
meri jeeet bhi tu thi, mera lakshya bhi tu hai
dhadkan tu thi, hriday tu ab hai
jeevan tu thi, wajah tu ab hai
sach me tu bas khwab thi tab toh...
har ek khwab ka sach tu ab hai
tab tu bas tu thi, sab tu ab hai

sach nahi ye sach ye mana sach hai
ye jhooth hi ab mere sach ka sach hai....

kyu......kyu nahi.....


Thehre se hain kuch baadalo k saaye,baadal reet gaye
ghere hain kuch yaadon k saaye, janmo beet gaye
ye aasma beh jata kyu nahi....baad har baarish gaherata kyu hai??
jivan ye pighal jata kyu nahi...baad har thokar yu pathrata kyu hai??

jis qaid ki rihaayi ka khauf tha, ab chut-ti si hai..
jis sath chalti parchai ka zauk tha, roothti si hai
kyu deewarein unchi nahi is ghar ki...har mod pe koi darwaza kyu hai?
saaye raat se bujh jate kyu nahi...har saaya aakhir raat se ujla kyu hai?

jin kaanto pe zakhm likha tha, cheer gaye..
jin raaho pe haar likha tha, jeet gaye..
ye kaante kyu paanv se nikalte nahi,reh jate kyu hain...
chalte chalte kadam thak jate kyu nahi, inhi kaanto pe girne ko sambhal jate kyu hain???

jis umeed se khud ko behlata tha, bikhar gayee..
jis taakat se dhaadas pata tha, sihar gayee..
ye aas khud toot-ti kyu nahi..har baar khud band jati kyu hai??
ye himmat jhuk jati kyu nahi..har baar mujhe sath uthati kyu hai??

sab sawaal jo maine pooche the, reh gaye anjaane..
armaan jo bade armaano se rakhe the, ho gaye begane..
javab sab zindagi se milte kyu nahi, ulajh k reh jate kyu hain??
khwab sab sach hote kyu nahi..neend me hi bikhar jate kyu hain??

bas yehi ek sawaal hai tujhse zindagi, bas ye bata tu meri kab thi....

Badlaav

Zindagi badal rahi hai
main wohi hoon, 'main' badal raha hai
jine ka salika wohi hai
jine ka tarika badal raha hai

manzilo k ab naye raste dhundta hoon
faasalo me hausale dhundta hoon
jo chaha tha tab, ab bhi usi ki hasrat hai
ab bas wo sab pane k bahane dhundta hoon
rahi wohi hai, safar badal raha hai
rasta apni dagar badal raha hai.

aaine me naye chehre dhundta hoon
aazad udaano k pahre dhundta hoon
kinaro pe jo paya, jo khoya wo kal ki baat thi...
jo bacha hai unchhuaa, use ab aur gahre dhundta hoon
ye waqt ye sama har pahar badal raha hai
mujhse mil k ye samandar apni lehar badal raha hai

uski talaash me khud ko dhundta hoon
bheed me baithi kisi tanhai me usko dhundta hoon
teri chahat kahin kho si gayee hai
ab to har chahat me tujhko dhundta hoon
ye hath apni salwat badal rahe hain...
khwab jo soye the, karvat badal rahe hain.

kshitij pe apna ghar dhundta hoon
dhalte suraj me dopahar dhundta hoon
udaano ki ab fir se khwahish hoti hai
ab fir se apne par dhundta hoon
panchi apna watan badal rahe hain...
bahar se ye chaman badal rahe hain.

bhujte andhero me aaftab dhundta hoon
chehro k neeche naqaab dhundta hoon
kisi ne jo kaha,"khwabo me haqiqat nahi mila karti..
ab haqiqat me apne khwab dhundta hoon.
manzilo ki talaash badal rahi hai....
chahato ki pyaas badal rahi hai..

nahi badli toh bas meri mohabbat mohabbat me...
par har pal ye mohabbat mujhe badal rahi hai...

Shiqayat hai.....

phir wohi adaa hai, wohi nasha hai
wohi madhoshi phir chaai hai
ye tu toh nahi, koi bharam nahi
koi khwab hai ya teri parchai hai

yu hi khayalo me kho jana wohi hai
besabab intezaar rozana wohi hai
bholapan zara naya hai
halki si zara haya hai

sab jaan kar khamoshi se muskurana
deedad bhare andaaz se meri bebasi ko aazmana
"mohabbat nahi kahin bhi" barha ye samjhana
phir ishare se " yehi mohabbat hai" ye batana

mujhe is nazakat se zara shiqayat hai

shokhiyaan sab tujhme hain
har ada me ek nayi ada hai
kabhi muskurana tera sharma kar
roothna pal bhar ko phir khud hi maan jana
kabhi kehna sab kuch siva uske jiska intezaar tha
kabhi yu hi keh jana k bas tera intezaar tha

sab kuch mil kar bhi kisi ki kavayad hai
mujhe is shararat se jara shiqayat hai

kabhi goonjti hai khamoshi teri kaano me
kabhi aawaz me kuch sunai na de
kabhi tere har haraf k chehre pe ungaliyyan pheroon main
aur kabhi inki mallika hi mujhe dikhai na de
kabhi tujh bin tujhe sun loon main
kabhi tu karib ho kar bhi dikhayi na de
is shor me basi kisi khamoshi ki chahat toh hai
mujhe is beaawaz aahat se zara shiqayat hai

Pashopesh.....

wo ek muskaan jispe apni har khushi qurbaan kar de
wo bachpan ka sa bholapan
wo bina kisi banawat ki si nazakat
wo bereham si shararat hai tujhme
tujhe haya kahoon ya dua, bas isi pashopesh me hoon
ek bhoole shayar ko aawaz di tune...
tujhe tufaan kahoon ya hawa..
bas isi pashopesh me hoon

bin mile main beeta sa tha
najar bhar dekh k jeeta sa hua
tujhe na pakar reeta sa reh gaya
khud ko nahi pehchanta ab..
na jane main khud kis bhesh me hoon
bin mile milan ki pashopesh me hoon

hasrat na sahi, chahat toh haia
awaz na sahi aahat toh hai
na milne ka ranj bhar bhi sahi, par ab is deed ki rahat toh hai
jadd nahi aakhir main ab, is unmaad k aawesh me hoon
is bin mile main ki pashopesh me hoon

aaj main phir mohabbat k hi desh me hoon.....

Phir ek baar......


Phir wohi khwab wohi ehsaas laya hoon…
Main phir ek baar bin baat mohabbat ban k aaya hoon

Lafzo me nasha ab bhi wohi ghole hoon….
Madhosh karne main tujhe fir wohi kahani laaya hoon.

Kehne karne ko jo chor gaya tha adhura….
Usi hisse ka ab main karz chukane aaya hoon.

Kabhi jis chahat ki hasrat ban k jiya tha main….
Ab fir usi hasrat ki chahat ban k aaya hoon.

Jis mod se tu reh gaya tha takta us din….
Usi safar pe tera hath thamne aaya hoon.

Kehta tha jise khwab main hardam….
Ab khud wohi pariyon ki kahani sunane aaya hoon.

Jis kitaab me bas mera hi naam likha tha har kahin…
Usi k panno pe ab apne haraf dhoondne aaya hoon.

Sun k bhi jo baat shayad nahi sun paaya tha kabhi…
Ab wohi aawaz liye main tujhe aawaz dene aaya hoon.

Chhoo gaye thi jo saansein kabhi meri rooh ko….
Unhi ki mehak sanjoye huye usi chuan ka ehsas main laya hoon.

Main fir mohabbat ban tere aangan aaya hoon.

Magar......kuch nahi......


Kahoon agar main k jhooth hai toh ye sach nahi,
Bas me nahi bhale par ab dil ye bebas nahi,
Na badla hai ishq, na badli aashiqi aur badla ye aashiq nahi
Ishq wohi hai, mohabbat wohi, par ab wo hasrat nahi.
Kehne ko toh bahot kuch hai magar....kuch nahi...

Ab bhi bin baat kabhi yun hi muskuraya karta hoon...
Ab bhi din raat khud ko jane kya samjhaya karta hoon...
Ab bhi machalta hai mann jab barish ki boondein chhoo jati hain...
Ab bhi kabhi kabhi main bhig k ghar jaya karta hoon.
Zindagi se ab bhi kuch khwahish toh hai...
Har pal kisi pagalpan ki aazmaish toh hai.....par kuch nahi...

Bahut kuch hai jo main kabhi na kehta toh achcha tha...
Bahut kuch ahi jo main shayad keh deta toh achcha tha...
Bahut kuch hai jo ab tak ye dil bhula nahi paya..
Bahut kuch hai jo dil ne kabhi bhulana nahi chaha.
Bahut si hain yaadein jo andhero me dikhti hain..
Bahut si hain yaadein jo khamoshi se kaano me cheekhti hain.
Ab bhi kabhi raatein un yaadon me reet toh jati hain..
Ab bhi kabhi aakhen un yaadon me bheeg toh jati hain...par kuch nahi

Kabhi lagta hai pahle zara socha hota toh thik tha..
Kabhi lagta hai jo socha wo na hota toh thik tha..
Kabhi lagta hai k namumkin ki chahat hi thi galat
Phir lage k ye namumkin na hota toh thik tha..
Ab bhi kuch jale khwabo ki tapish toh hai...
Halki halki si dil me koi khalish toh ahi....par kuch nahi....

Kehna toh tha hasi hai toh bas tujhse, magar kabhi kaha nahi..
Kehna toh tha khushi hai toh bas tujhse, magar kabhi kaha nahi..
Kehna toh tha zindagi hai toh bas tujhse magar kabhi kaha nahi...
Kehna toh tha mera ‘main’ hai toh bas tujhse magar kabhi kaha nahi..
Zindagi me tu nahi, khud ‘zindagi’ tujh hi me hai...magar kabhi kaha nahi
Saanso me basi khushbu me tu ahi, magar kabhi kaha nahi..
Khuli aakhon me tu, band palko me tu hai..magar kabhi kaha nahi...
Hasrat teri nahi, teri hasi ki hai...magar kabhi kaha nahi..
Jarurat hosh ki nahi, tere aagosh me gashi ki hai.....magar kabhi kaha nahi..
Kehne ko tujhse kitni hi baat toh hai...
Kehne ko sab kuch abhi bachi ye raat toh hai.....par kuch nahi....

Dil ko ab bhi teri aadat si toh hai...haan ab bhi
Teri chahat ki ab bhi chahat toh hai...haan ab bhi..
Tere aagosh ki hasrat toh hai...haan ab bhi..
haaan ab bhi tujhse mohabbat toh hai...........par kuch nahi.....
intezaar ab bhi hai ...par kuch nahi...
wo pyaar ab bhi hai ..par kuch nahi...
aakhir ab tu ‚wo tu’ kyo nahi...
haalaat ab bhi wohi kyo nahi...
jazbaat jab din raat wohi hain...
toh ab bhi hum sath kyo nahi???
Puchta hoon khud se yehi bin baat main aksar.....
Reh reh k aate ahin yehi khayalaat mujhe aksar.....par kuch nahi....

Mana mila kam zindagi se zara, par ye zafa bhi nahi....
Roothi bhale ho zindagi zara, par mujhse wo khafa bhi nahi...
Chhin gaya jo sab, usi ne toh diya tha..
Ab jiski yaadein hai wo lamha kabhi toh jiya tha...
Bin paaye hi toh nahi khoya sab maine
Aakhir jo ho na saka mera, wo kabhi...kuch pal toh mera hua tha..
Khush hoon is baat se k sab khoya nahi..
Pahle wo thi meri..ab uski yaadein hain..
Pahle wo aur uski baatein thi..
Ab “wo baatein” hain....
Pahle jo pal bas pal the..
Ab wo saugaatein hain...

Ab ise main apni khushnasibi kahoon ya khushfahmi...
Mohabbat kahoon ya paagalpan...
Umeed kahoon ya unmaad...
Shayad main khud nahi janta...
Kisi jhooth pe koi sajawat toh hai.....
Zindagi se phir bhi koi shikayat toh hai.....par kuch nahi........

Kuch bhi nahi.....

Kabhi lagta hai k wo yahin hai,
kabhi lagta hai kuch bhi nahi
kabhi lagta hai kuch hai jo kheeche hai teri or,
phir kabhi lage jaise kuch bhi nahi.

kabhi aise hi tera jane kya keh jana...
kabhi teri khamoshi me bhi jane kya kya sun lena...
kabhi bin kahe samajh jana...
kabhi lab hile bhi nahi aur laga k sab keh dala tune,
kabhi sau baato pe bhi lage abhi kaha kuch bhi nahi.
kabhi yun hi baato baato me izhaar kar jana,
phir jo tu puche toh kehna "na kuch bhi nahi"

wo tera khayal aate hi khud me muskurana...
phir khud hi khud ko samjhana...
puchna khud se "aakhir ye kya hai?"
phir khud hi se jhooth kehna k "kuch bhi nahi"
yakin hai haal ye dil ka idhar bhi hai udhar bhi...
hoon janta k jazbaat ye idhar bhi hai udhar bhi...
baat jo dabi hai dil me, labo pe na main la paoonga na wo..
baat jo khamoshiyaan keh gayee hain, na main keh paoonga na wo...
bas intezaar hai kab main kahoonga "is dil me beintehaa mohabbat hai"..
intezaar hai kab tu kahegi "is dil me kuch bhi nahi"

haan... ye tum thi......


Fir ek din yu hi uska khayal ho aaya
fir ek din maine khud ko samjhaya...
Lekin mera hi koi hissa mere us hisse k na hone pe yaki nahi kar raha tha..
Mere hi andar baitha 'main' use mujh se duur nahi jane deta tha..
Jo ho chuka tha uske hone pe sawal karta tha...
Jise kabhi paya nahi tha uske khone pe sawal karta tha..
Isi jadd-o-jehad me ji bhi raha tha toh zindagi se muh mod k
use pane ki chahat bhi karta tha toh use pane ki hasrat chor k

tabhi koi awaaz sunai di

kisi ne mere kaan me dheere se jaise kuch kaha..
Palat kar dekha toh tum khadi muskura rahi thi..
Wohi jadu wohi ehsas wohi mohabbat liye aakhon me..
Usi masoomiyat usi bholepan k sath wohi tum najar aa rahi thi..
Har baar ki tarah boli,
"budhdhu..main toh yahin hoon... fir muhe kahan dhoondte ho??
Main ab bhi tumhare sath hoon.. jaise hamesha thi..aur yun hi sath rahoongi..
Toh mujhe bhulne ki baat bhula do"
main jaise tumhare jadu me khoya sa..
Kisi khwab me jaga..kis hosh me soya sa..
Bin hasi k khilkhilata..sukhe aansu bhar roya sa
jaan nahi pa raha tha k ye haqiqat hai ya bharam hai..
Kya tu sirf ek chaya hai ya sach me wohi qatil sanam hai..
Mere ghamo ka koi javab hai ya fer khud ek naya gham hai..

Par teri nighaho ne sab bayan kar diya..
Tere har gham ko teri sadgi ne fanaa kar diya..
Bol padi wo aankhen aur chubhti si us khamoshi ko khafa kar diya
haule se mera sar god me rakhkar kahajuda nahi tumse..
har dum sath honge hum..
Main mohabbat hoon teri bin tere ji nahi sakti
fir laga k wo tum thi bhi aur tum thi bhi nahi..
Haan ye tum hi toh thi par fir bhi nahi..

Ye tum thi..meri mohabbat..
Ye tum thi meri chahat..
Ye tum hi thi jisne mujhe pyar ka matlab bataya tha..
jisne mujhe pyar karna sikhaya tha..
Jisne mujhe mujhse chura liya tha...
jisne mujhe mujhse milaya tha..
tum hi thi jo har pal muskurane pe majboor karti thi...
tum hi thi jo har gham ko palakon se duur karti thi...
tum jo har hasrat,har khushi, har chahat me shamil thi..
tum jo har aahat,har saans,har muskurahat me daakhil thi..
tum jo nazakat thi,shararat bhi thi..
tum jo faasla thi,mohabbat bhi thi..
tum jo haya thi..
tum jo ada thi..
jo kashish thi..
jo tapish thi..
ek junoo(n) thi..
ajab sa sukoo(n) thi..
haan ye tum hi thi...wohi tum..tum hi thi...

par isme wo tum si banavat na thi....
khoobsurati wohi thi par sajavat na thi..
nayee saadgi thi..ek paakizagi thi...
mohabbat wohi thi par wo sab pa lene ki chahat na thi..
shayad ye tum hi thi..shayad na thi..
is bar khone ka wo khauf na tha..
masoomiyat toh thi par wo zamane ka zauk na tha..
nasha wohi tha, par ab hosh bhi tha..
sab dard bhulane wala tera aagosh bhi tha..
milne ki hasrat thi,khone ka khayal na tha..
sawal sab wohi the,par khoo-e-sawal na tha..
ye tum thi bhi aur thi bhi nahi..
ye tum thi jo meri thi,meri bas ek hasrat...
haan ye tum thi tum hi thi..meri pahli mohabbat..

Mujhe mohabbat hai.... ;)

Phir mere ghar ki adhkhuli khidki se ek sard hawa ka jhonka aaya
koi tapish dil me samete meri tanhai ka ehsaas le aaya
taane kasta, mujh par hasta, kya kya karta raha thitholi..
"ghut k jeena yun hi tadapna..hai ye mohabbat kitni bholi"
kehta tha jahan me dil lagaoge..toh khudko yunhi akela paoge..
par meri bhala sunta kaun hai??
ye hawa isi liye toh maun hai..
ab bhi waqt hai pagal, koshish kar aur sambhal ja..
jag is neend se aakhen khol aur ise sapna samjh k bhool ja...

mera mann mann hi mann has pada...
bola arre pagal tu sach me kitna nadan hai....
is pyar ki taqat se aaj tak anjaan hai...

jab tanhai dil ko rulati hai...
to uski mohabbat mere hothon pe muskan lati hai..
jab jab hijr ki raatein dil ko koi dard deti hain..
tab tab uski chahat mujhe uski yaadon ka sahara deti hain..
jab bhi ye palakein uske intezar me bhig jati hain..
har baar tab uski mohabbat mujhe apni god me sulati hain...
maine jab bhi khud ko duniya me kahin akela paaya...
bahon me liye bepanah mohabbat usko apne sath hi paaya..

ye agar tanhai hai toh mujhe is tanhai se mohabbat hai...
agar ye ishq me rusvai hai toh mujhe is rusvai se mohabbat hai...
wo har pal meri rooh me meri saanso me mere dil me basi hai
agar phir bhi ye judai hai toh mujhe is judai se mohabbat hai...
khuda rok sakta hai hume milne se meri mohabbat kam nahi kar sakta....
phir bhi agar yehi uski khudai hai, toh mujhe uski is khudai se mohabbat hai...
khud dard seh k bhi mere dard ka ehsaas hai use...
agar ye bewafai hai, toh mujhe uski is bewafai se mohabbat hai..

uski har naadani, har berukhi, har masoom adat se mohabbat hai
har khamoshi, har duri har majboori se mohabbat hai
har toote sapne, har zakhm apne se mohabbat hai...
har bhoole waade, har jhoothi kasam har taghaful iraade se mohabbat hai
uski har hasi, uski nigaaho ki maykashi uski har bebasi se mohabbat hai..

mujhe uski mohabbat se mohabbat hai
apni is chaahat se mohabbat hai..
dhadkano ki is aahat se mohabbat hai...
dard ki is "rahat" se mohabbat hai..
uski dil ko aadat si ho gayee hai...
mujhe apne dil ki is aadat se mohabbat hai..

meri zindagi ab usi se shuru, usi pe khatm hai...
aur mujhe apni zindagi ki is kahani se mohabbat hai..

Mohabbat....:)

Bheegi bheegi dhoop si ye mohabbat
thandi thandi ek tapan si hai
meetha meetha sa ek dard hai ye ishq
ajab si ek tees bhi hai
halka sa koi nasha hai ye
pyari si koi saza hai ye

teri aankhon ki shararat sa ye
tere chehre ki masoomiyat sa ye
teri baato ki mithas hai isme
teri chhuan ka ehsaas hai isme
teri badan ki mahak hai isme
teri saanso ki dehak hai isme

duniya bhula dene wala jaadu sa
koi deewanapan bilkul bekaabu sa
bas ek jhalak ki hasrat si
fir firse milne ki chahat si
bina aahat ka shor koi jaise
hazaar aawazon ki khamoshi hai kabhi
bin baat ki muskaan kabhi jaise
khamosh chup tufaan jaisi hai kabhi
teri nigahon me doob jane ki tamanna
tere pyar me kho jane ki hasrat
aas jaise bina umeed ki koi
sapne jaise bina neend k koi
bekhudi ka maza bhi hai
kuch aansoo bewajah bhi hain

ye teri mohabbat hai ya koi nasha hai?
kitna maza isme bewajah hai........

Kyu???


kyu uski udasi mujhe udas kar jati hai?
kyu uski rusvai meri jaan si le jati hai?
kyu uski judai me sara jahan begana sa lagta hai?
kyu uski mohabbat mujhe zindagi si de jati hai??

kyu uski hasi sab dard bhula deti hai?
kyu uski khushi mujhe jannat ka ehsaas deti hai?
kyu uske gham me rone ko dil karta hai?
kyu uski khamoshi meri aawaz le jati hai?

kyu uske bina jine se darr lagta hai?
kyu uske bina aab-e-hayat zehar lagta hai?
kyu uski masoomiyat uske sab sitam bhula deti hai??
kyu use har baar muaf karne ko dil karta hai??

kyu uske seene se meri dhadkano ki aawaz aati hai?
kyu uski saanso ki aawaz dil me koi azaab lati hai??
kyu use palak bhar dekhne ko betaabi si hoti hai??
kyu uski har mulakaat fir milne ki chahat jagati hai??

kyu uski har baat pe yakin aata hai??
kyu uske har bahane pe ye dil aata hai??
kyu uski taghaful mohabbat se mohabbat huyi jati hai??
kyu uski berukhi pe aur pyar karne ko ji chahta hai??

kyu uski yaad me duniya bhulane ka gham nahi?
kyu is bemel mohabbat ko umar bhar nibhane ka gham nahi?
kyu is pagalpan me zindagi dhoond li maine??
kyu ab uska diwana kehlane ka gham nahi??

kyu uski baahon se duniya parayi si lagti hai?
kyu uski aakhon me madhoshi bhari gaharai si lagti hai??
kyu uske aagosh me fanaa ho jane ko dil karta hai??
kyu zindagi se mohabbat ab us-se bewafai si lagti hai?

kyu uski galati pe khud k liye saza mangata hoon?
kyu ab khuda ko uske baad khuda maanta hoon??
kyu uski judaai me bhi nasha sa dikhta hai??
kyu use wafao ka dard de kar apne liye zafaon ka maza maangta hoon??

kyu uski baate har lamha karne se ji nahi bharta??
kyu barha "mohabbat hai" ye kehne se ji nahi bharta??
kyu har lamha uske diid ki chahat hai??
kyu use ji bhar dekhne se kabhi ji nahi bharta??

kyu ab bheed me tanhai ka asar hota hai???
kyu bin dhoop kisi parchai ka bharam hota hai??
kyu kisi se milne ki koi tamanna nahi rahi??
kyu uska intezaar shaam-o-sehar hota hai??

kyu us-se khafa ho kar bhi us-se khafa hone ka dil nahi karta??
kyu zindagi se bewafai kar loon par us-se bewafa hone ka dil nahi karta??
kyu besabab bewaqt usi ka naam lab pe rehta hai??
kyu uske siva ab kisi ka naam lene ka dil nahi karta??

kyu uska zikr hota hai toh main khamosh ho jata hoon??
kyu uska zikr hota hai toh main jane kya kya keh jata haoon??
kyu uska zikr hota hai toh main main nahi rehta ??
kyu uska zikr hota hai toh main main ban jata hoon??

kyu ab bhi har nigaah me teri najar ki talaash hai
kyu ab bhi har aawaz me teri aahat ki talaash hai
kyu khud ki talaash me baar baar tujhe pa jata hoon
kyu ab bhi har talaash me mujhe teri hi talaash hai??

kyu ab bhi har mod par bin tere tum mil jati ho
kyu har baat me har yaad me ab bhi tum yaad aa jati ho
kyu khuda se kuch bhi maangoo toh bas teri khushiyaan yaad rahein..
kyu tum meri har khawahish me chupchap yu shamil ho jati ho...

Kabhi kabhi main bhi sochta hoon.....

Sochta hoon tumhare jaane se kya badal gaya hai
sab kuch toh wohi waisa sa hai

ye mausam ab bhi wohi mausam hai
ye hawayein ab bhi wohi hawayein hain
ye barish ab bhi wohi barish hai
ye fizayein ab bhi wohi fizayein hain
ye duniya ab bhi wohi duniya hai
ye khushiyan ab bhi wohi khushiyan hain

Par jab tum thi toh..........

tum thi toh is mausam me zara aashiqi si thi
tum thi toh in hawaon me zara tazgi si thi
tum thi toh ye barish lagti thami thami si thi
tum thi toh in fizaon me mohabbat ki zara nami si thi
tum thi toh ye duniya kitni pyari si lagti thi
tum thi toh ye khushiyan kitni hamari si lagti thi

Sochta hoon tumhare jane se kya chala gaya hai
sab kuch toh yahin ab bhi yahan hai

ye mera dil yahin ka yahin hai
har raah har manzil ab bhi wahin hain
har phool har darakht wahin k wahin hain
har lamha har waqt wahin k wahin hain
ye aashiyana wahin ka wahin hai
ye diwana wahin ka wahin hai

Par jab tum thi toh.............

tum thi toh is dil me dhadkane bhi hoti thi
tum thi toh manzilo ki khwahishein bhi hoti thi
tum thi toh ye phool khila mehaka bhi karte the
tum thi toh shaam-o-sehar is aangan se mila bhi karte the
tum thi toh ye aashiyana aisa viraana na tha
tum thi toh ye diwana is kadar diwana na tha.

Zindagi

suna tha kuch socha tha kuch,kuch aur hi lekin mila.
yu hi laut-te huye ghar aaj raste me main zindagi se mila.
mili thi kabhi bachpan me pahle,
hua karti thi sach jivan si pahle.
kuch shokh si,chalak si
batoon si, bebak si
masoom si, nadan si,
har dil ki jaise jaan si,
bholi si wo natkhat si kuch,
sachchi si wo nishkapat si kuch,
nishpaap si, chanchal si wo,
zinda si ab lagti thi nahi.

haan hua karti thi jaise wo pahle,
ab wo waisi thi nahi!!

badali si kuch lagti thi ab,
apni si kahan dikhti thi ab?
kuch khoyi khoyi, gumsum si thi.
khamosh wo chup chup si thi
jahan bhar se anjaan bhi,
jahan bhar se pareshan bhi,
sabse milkar bhi akeli si,
khud hi me uljhi paheli si,
thaki si kuch, ruki si kuch,
ek bojh se jhuki si kuch.
jahan bhar se muh mode huye,
aas jivan tak ki thi chore huye.

ye jivan ki hi nirmam dhoop thi,
k ek shor si wo chulbuli, shamshan si aaj mook thi.

pucha jo maine kahan ja rahi ho?
toh boli "sakhi ek kho gayee hai.
lagta hai thak k so gayee hai.
dhoondha jahan bhar me lekin mili nahi wo.
shayad ab yahan rahi hi nahi wo.
us bin dil me bas udasi hai.
us bin ye abhagi jahan bhar me pyaar ki pyasi hai.
chalti hoon abhi k shayad wo mil hi jaye.
kehna jaroor mujhse jo tumhe wo najar aaye.
masoom si wo badi pyari hai,
bas jara se pyar ki mari hai jahan rehti hai wo,
wahan phool mohabbat k hawaon me bahte hain
aur is jahan me log use hi toh insaniyat kahte hain."

Yaad

Jin raahon par kabhi hum sath chalte the........un par ab sirf sannate palte hain..........bache hain toh bas pairon k nishaan........Teri yaadon k saaye kabhi kabhi aansoo ban kar aa jate hain........aur lagta hai k jaise saare mukaam kho gaye ho........aajkal main bas yehi sochta hoon...<........yaad aati hai toh bas teri YAAD.....
Teri zaano pe wo sar rakh k sona yaad hai..
mere shaane k sahare wo tera rona yaad hai..
teri nigaaho me yun hi mera khona yaad hai..
tujhe yaad kar baarishon me khud ko bhigona yaad hai..
dekha tha milkar sath jo humne,
ab bhi mujhe wo khwab salona yaad hai.

yaad hai mujhe mohabbat teri wo..
yun ishq me tere aashiq hona yaad hai.

baat baat pe tera rooth jana yaad hai..
har baar fir mera tujhe manana yaad hai..
sharma k tera aanchal me muh chipana yaad hai..
yun hi tujhko baaho me uthana yaad hai..
hatheli pe tera naam likhna-mitana yaad hai..

yaad hai mujhe wo judai me aansoo bahana,
k mujhe aaj bhi wo aashiqi ka zamana yaad hai.

jhijhakta sa mera wo izhaar yaad hai..
fir tera wo sharmaya iqraar yaad hai..
tere na aane pe pe kiya wo intezaar yaad hai..
na milne pe hona beqaraar yaad hai..
pyar ki meethi meethi taqraar yaad hai..

yaad hai mujhe teri mohabbat me jiya har pal,
k aaj bhi mujhe beshumar tera wo pyar yaad hai.

TUM: know yourself

Tum vaat ho, tum aag ho,
tum aas ho, vishwaas ho
dhara ho tum, aakash ho
jeevan ki amar tum pyaas ho.
Chahe abhi hatash ho,
par is bedam jahan ki saans ho.

 Kisi k ghar ki shaan ho
kisi k sir ka maan ho
kisi k tum bhagwan ho
zindadili ki pehchan ho
khushiyo k tum hi pran ho.
na haare ho abhi, na haaroge kabhi..
k tum swyam vijay k vardaan ho.

Tum zindagi ka dansh ho
halahal ka meetha ansh ho
bhulo nahi manav ho tum, ek aparajit vansh ho.

Ab bol do, mukh khol do..
chup mrit se ab na raho..
ravani hai fitrat me tumhari..
ye shithilta fir kyu saho?
bahana hi likha hai lalaat par, toh aakhon se nahi tan par baho.

kyun bahoon main tal ki or annal hoon main jaldhara nahi
Sinh hoon main kya hua jo ban sinh hunkara nahi..
vivash hoon bas karm se.. haalaat ka mara nahi..
keh do abhi zinda hoon main..keh do abhi haara nahi..

...keh do....abhi haara nahi...

Wo aisi hi hai

Hai roshan aaftab tere hi noor se...
mahtaab me hai tera hi chehra.
khushbu hai phoolon me teri saanso se...
hai kali raato me teri zulfo ka andhera.

Tujhe chhu kar mahakne ko hi toh hawayein chalti hain...
teri adaayein hi toh mausamo k rukh badalti hain.
har kahin har suu tu basi hai sanam...
ye kaaynaat toh hai bas ek aks tera.

Ye hasin manzar teri nigahon k aseer lagte hain...
ye nazare tere husn k aage fakeer lagte hain.
tere jaisa kuch aur khuda ne banaya hi nahi...
tujhse khoobsurat hai toh bas ye ishq mera.

Teri nigahon ki mai se hi toh jaam-e-jam bhare jate hain...
diid ko tere hi ushshaq sar-e-mahshar tak bhi chale aate hain.
tera husnezan cheen le jeene ki aarzoo...
wayas ko bhi kaafir kar de ye jamal-e-dilfaroz tera.

That glance...


Tha woh koi khwab ya fir haqiqat thi..
yu jo teri nazarein mujhse mukhatib thi..
Shayad koi sawal tha unme..
shayad wo kuch pooch rahi thi mujhse..
Ek unjaana sa izhaar tha unme..
shayad pyar ka iqraar tha unme..

Ek nazar me hi main jo bahakne laga tha..
k unme mohabbat ka gahara nasha tha..

Kyu zubaan teri chup thi, kyu khamosh the lab..
ya jane hai tu ye, ya jane mera rab..

Dil k chaman me ek phool khila gayee wo..
mujhko mujh hi se chura le gayee wo..

Kya wo samjha rahi thi kya main samjha nahi hoon..
mujhko bas ye khabar hai k ab main khud ka nahi hoon..